- Namaz Ayaat Ka Tarika Shiacollectiveshara Kaise
- Namaz Ayaat Ka Tarika Shiacollectiveshara Ke
- Namaz Ayaat Ka Tarika Shiacollectiveshara Diya
If you are in search of accurate way of saying namaz according to fiqah jafriya then this app iis for you. With help of this app you can easily understand how to say Shia Namaz accurately. 2 rakat shia namaz 3 rakat namaz shia ahkam e namaz shia arkan e namaz shia dua e qunoot shia namaz horaire namaz shia 974 i want to learn shia namaz learn shia namaz online namaz e shia sajdagah shia namaz. In most of the regions designated as the Muslim countries in this world. Urdu Rasool Allah (PBUH) ki Namaz Facebook. Dear Lord I need your blessing over my life, please provide me with that job I need and want so that I can be debt free and focus on Your plan for my life. Shab-e-barat ko ibadat karne ka sahi tarqa aur sath nawafil parhne ka tariqa zarur dekhiye. Shab-e-barat ki fazilat. Question: Assalam o Alikum mughe pochna he ke kya namaz choot jaye aur us ki qaza parh li jaye to kya namaz jo choti he uska gunnah ho ga? Answer: Agar koi shakhs namaz keh pore waqt k doran soya rahay aur bad men pata chalay ke namaz ka waqt nikal gaya hai ya us ne madhoshi ki wajha se naamaz na parhi ho to gunahagar nahin hoga, lekin Jan boojh kar namaz ka na parhna haram aur gunah e. Categories Namaz For Love Marriage. Tags how to perform istikhara namaz for marriage, istikhara namaz for marriage, Juma Namaz For Ladies, namaz e hajat bibi fatima, namaz e hajat for love marriage, namaz e hajat ka tarika, namaz e hajat ka waqt, Namaz For Love Marriage, Namaz For Pregnant Ladies, Namaz For Taking Decision, salatul hajat.
Question & Answers << Go Back
Topic: Qaza Namaz (98 Questions)
Showing 0- 50 questions from 98 questions on this page.
Information about Quiz & WinAayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie
Question: Kya asar ki Namaaz se pahle usi din ki Fazar ki qaza namaaz padh sakte hai ?
Answer: Jee han, Parh sakte hain, Lekin Qaza namaz ka koi waqt muayyan nahin wo kabhi bhi perhi ja sakti hay.
(Ref: Tauzeeh ul masail Ayatullah Sistani, Edition 41st, maslah #1356, 1358).
[Updated on 21-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani
Question: Fajr aur zohr ki namaz qaza karne kitni rakat padhni hai?
Answer: utni hi rakaat ki qaza karni hai yaane fajr k 2 or zohar ki 4.
nawafil ki qaza mustahab hay lehaaza parhna zaroori nahi hai chahein tu us ki bhi qaza kar saktay hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1356). [Updated on 14-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani
Question: Assalam o Alikum mughe pochna he ke kya namaz choot jaye aur us ki qaza parh li jaye to kya namaz jo choti he uska gunnah ho ga ?
Answer: Agar koi shakhs namaz keh pore waqt k doran soya rahay aur bad men pata chalay ke namaz ka waqt nikal gaya hai ya us ne madhoshi ki wajha se naamaz na parhi ho to gunahagar nahin hoga, lekin Jan boojh kar namaz ka na parhna haram aur gunah e kabeera hai, aur in donon surton men namazon ki qaza baja lana zaroori hai.(Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition 39th, maslah # 1356). and (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Maslah #30, Edition 1439 hij).
[Updated on 11-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani
Question: ASSALAMOALIKUM, MAI EK OFFICE MAI JOB KARTI HU JAHA SARE GAIR MUSLIM M YAHA TAK KI MERE BOSS V ,TO MAI WAQT PER NAMAZ ADA NAHI KAR PATI HU TO KYA MAI SARI QAZA NAMAZ ESSA KE WAQT ADA KER SAKTI HU??
Answer: W/salam agar job karne k wajah se namaz qaza hoti ho tu phir is jagah job karna jaiz nahi hay. Tamaam namazo ko waqt per perhrhna wajib hay. qaza karne ki ijazat nahi hay. (Ref : Aqai Sistani (db), Jadeed faqhi masail , masala # 64 , pg # 75 , eidition #5)
[Updated on 09-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani
Question: Kya qaza namaz is izhar gunah hai ?
Answer: Nahi, qaza namaz perhna gunah ka izhaar shumaar nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 1356).
[Updated on 29-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani
Question: Fazr ki qaza subah 9am tak padh sakte hai sunnate bhi ada karni hongi ya farz hi pade jayenge
Answer: 1) Jee parh sakte hain qaza k liye koi khaas waqt nahi hai lekin itni takhher na karay k la parwahi shumaar ho.
2) Nafil (sunnat) ki qaza zaroori nahi hai.
(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02674/)
[Updated on 26-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani
Question: fajar ka waqt guzarnay kay baad us ki sunnat parh sakty hen
Answer: waqt guzarny k baad nawafil ki qaza karna mustahab hai.(Ref:https://www.sistani.org/arabic/qa/0736/)
[Updated on 12-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani
Question: Assalamualekum agar fajr ki namaz choot gaye kisi ye wajhe se ki woh namaz ki niyaat kara aur phir namaz ke waqt soo gaya? Toh us waqt keya kaaree
Answer: Jis shakhs ne apni namaz un k apnay waqt me na parhi hoon to zarori he k un tamam namazo ki qaza baja laey. Albatta in qaza namazo main tarteeb lazim nahi hai siwaey in namazo k jin ki ada main tarteeb hai maslan aik din ki zohar aur asr ya magrib aur isha.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 1356).
[Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini
Question: Kiya Apni Qaza Namaz ojrat de kar parhwai ja sakti hai?
Answer: Jab tak insaan zinda hai chay wo apni qaza namazen perhne se qasir he kyu na ho koi dosera shaks is ki qaza namazen nahen perh sakta . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1368)
[Updated on 24-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani
Question: Agar Sony ke waja sy koi namaz qaza ho gai ho tu us ke qaza agli namaz ma ada ho skti hai or qaza namaz bd ma ada ke jahy ge ya phely masaln Meri zohr qaza ho gai ab asar ka time hai ma phely asar parho ga ya zohr ke qaza namaz paro ga
Answer: Note: Is web par fiqhe e jafferiya k mutabiq jawabat diay jaatey hain.
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani
Question: women ki period ky duran ki namazy maaf ho jai ge ya period katam hony ky bad namazy complete karni ho ge .please es bary mai koi hadis bata den . shukria
Answer: 1) Halat e haiz main namaz or os jaisi digar ibadatain jinhain wuzu, ghusl ya tayammum k sath ada kerna zarori hay, agar is niyat se anjam day k sahi amal anjam day rahi hoon, jaiz nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #456)
2) jo namazain aurat nay haiz ki halat main nah perhi hoon on ki qaza nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #459)
[Updated on 17-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani
Question: Kya asar ki namaz k saath qaza namaz adaa hojati hai ya nai
Answer: Asr ki namaz k baad qaza namaz perhi jaa saktti hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#1367).
[Updated on 15-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani
Question: Kia fajar ki namaz qaza karnay k liye is ki 2 sunnat pehle ada karna zaroori hay ya khali 2 farz parh k qaza namaz ho jati hay fajar ki?
Answer: Fajar ki wajib namaz agar qaza ho jaey tu oski qaza namaz perhna zarori hay laikin fajar ki sunnat namaz ki qaza mustahab hay zarori nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1356). Update on dated 19-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani
Question: Assalam aleikum. Agar asar ki namaz qaza hojae to magrib parh sakte hen ? Ya pehle asar ki qaza parhna lazmi ha warna magrib qabool ni hogi?
Answer: Agar asar ki namaz parhanay say maghrib ki namaz ki fazeelat wala waqat khatam nahi hota to behtar hay k asar ki namaz pehlay parhi jaey . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1365). Update on dated 21-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani
Question: Murde ke qaza nimaz par sakte hain
Answer: Jee parh sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1375). Update on dated 11-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam u Alaikum Mera sawal ye hai mein foreign mai rehta hu kya mein job pe duty ki wajah se namaz qaza kar sakta hu kiun ke boss muslim nahi ha or wo namaz ke liye time nahi deta tou muje kya karna chahye
Answer: Wajib hay k namaz waqt k andar parhi jaey kisi bhi wajah se namaz ko qaza kerna jaiz nahi hai. (Ref : Jadeed fiqhi Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #64 , pg #69 ). Update on dated 30-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: fajar k sath asar maghrib aur isha ki kaza namaz parhee ja skhti hai?
Answer: Jee haan, parh saktay hen, laikin namaz qaza kerna gunah hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah # 1361,1365). Update on dated 30-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani
Question: Salam mera swal ya ha k agar koi shuks numaz purhna ma galti kra or bat ma us ko pta chla k vo numaz galt purh rha tha to is k bat kya kra jaya
Answer: Agar ghalti ghair wajib-e-rukni main ho or wo shakh jaahil e qasir nahi to namaz sahi hay or jo ghalat parh raha tha usay seekh lia jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #929 ). Update on dated 28-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini
Question: Mera swal ye h k insan ne ghunao se toba kr li ho pr uski pichli nimazo ko kesy ada kr skta h kia koi kfara ada kr k ya kesy?
Answer: Jis shakhs ne apni rozana ki namazain un k waqt me nah parhi hoon to zaruri he k un ki qaza karain aur is k lie koi kaffara nahi he lekin orat say jo nemazen panjgana haiz ki wajah say choten hen unki qaza nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1367 ). Update on dated 07-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: gunah ki waja se mujh par gusul farz hua lekin jab mujhe gusul ke bare mei kuch pata nhi tha or mwi ne is doran tamam namazein ada karien ab toba Karli hai lekin jo ye lamba arsa guzra or mei ne gusul nhi kiya tha to ab meri namazein kya zaaya hogai fiqhae hanafi sunni mei jawab dejiye ga
Answer: In tamaam namazo ki qaza kerna hogi jo halat e janabat main perhi then.(Ref: Ayatullah SIstani d.b, Al-masael ul muntakhaba, pg#153). Update on dated 25-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Subha kazab se ly ker fajar tak koi kaza nemaz perhi ja sakti he
Answer: Jee qaza namaz har waqt parhi ja sakti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Almasail ul muntakhaba, maslah #436). Update on dated 14-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam o Alaikum mera sawal ye hai k Fajar Namaz ki sunnatain agar Reh jain to unhe Parhne ka kya Hukam hai.... Jazak Allah
Answer: Nafil namaz ki qaza takeedi mustahab hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344). Update on dated 04-05-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani
Question: kya nimaz asar k baad zuhr ki kaza nimaz pad sakty hain ....shukria
Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1365). Update on dated 13-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar ek sath kisi wajah se hamari do char din ki namaz qaza ho gai to un sab namazo ko kaise ada karein..? Kya sab waqt ki alag alag ada karni hogi ya ek hi baar.. Kaise..?
Answer: Jis shakhs nai apni yomia namazain in k waqt main a parhi hon to zarori hai k in ki qaza baja laye.
Jis shaks ki qaza namaz ho jaay zarore hai k is ki qaza perhne me kotai na kare albata is ka fouran perhna wajib nahe hai.(balke toure toure kar k bhi perh sakte hai.) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 37th edition, maslah #1356,1358 ) . Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie
Question: my ny zwal k wakt nimz e fajr ada ki mjy nhi pta tha k ye zwal ka wkt hy....kisi ny btaya k ye zwal ka wkt tha ap thori dyr bad dubara prh ly....to my dubara ada kr li......ub wo jo zwal k wkt prhi thi kya us py ALLAH ki pkr to ni ho ge?
Answer: Qaza namaz har waqt perhi ja sakti hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #1381). Update on dated 17-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie
Question: Assalam o alikum Guzre howe din ke qaza namazin agle din ke ko qaza ada karne ho to kunse time ko behtar hoga
Answer: Jis shaks ki namaz qaza ho jaey tu zarori hay k oski qaza perhne main kotahi nah kare albatta os ka fori perhna zarori nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1358). Update on dated 01-05-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar asar namaz qza ho gya aur magrib ka waqt ho gya to hum ko kya krna chahiy pahly magrib ki namaz ada kry ya asar ki namaz ada kry.agar asar ki namaz ada kry pahly to us ki niyat qza ki kry ya kuch aur.
Answer: Agar kise ki namaaz asar qaza ho jaay aur namaaz maghrib ki fazilat ka waqt baqi ho to behter ye hai k phele qaza namaaz perhi jaey aur phir namaaz e maghrib perhe jaey laikin phele maghrib perhna jaaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1365). Update on dated 25-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assamo alaikum agar fajar ki namaz qaza hogai hai to kya jumme ki namaz aada hogi yta pehle fajar ki qaza namaz aada karni hogi
Answer: Wssalam o alykum, fajar ki namaaz ka pehle ada karna zarori nahi hai, pehle juma namaz ada ki ja sakti hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 720 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani
Question: aghar mari bhot sari namaz kaza hwi hai or mai buzurg ho chuki hu pairo mai bhot dard raita hai or mai bait kai kaza namaz par rahi hu to kya sahi hai
Answer: Jis k liay kisi majbori ki wajah se mukammal tariqay se namaz perhna mumkin nah ho or ilm ho k baad main uzr(majbori) door ho jay gi tut u ahwat e lozomi hay k wo qaza ki adaegi ko uzr k door hone tak taker kare., or agar os ko ilm ho k aakhri urma tak uzr door nahi hoga tu os k liay fuaran qaza namaz ko perhna jaiz hay , balkeh agar os ko ehtimaal bhi ho k uzr aakhiri umar tak baqi rahe ga or door nahi hoga, laikin agar uzr door ho jay tu ehtiyaat e wajib ye hay k agar kharabi o khalal arkaan main that u dobara namaz k qaza baja laay , or dobara bajalana wajib nahi agar khalal arkaan k alawa kisi or main ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen, part#1, maslah #733 . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani
Question: Kya namaz nafila ki qaza padh sakte hai yaa padhni chahiye
Answer: Nafla namaazo ki qaza karna mustahab hai waajib nahe hai.(ref:minhaajus sauleheen, aqa sistani,jild :1,masla:723,eidition:2009) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: can i read my kaza namaz before or after asar? thank you.
Answer: If the time of asar remains after qaza so he can perform qaza before that.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1365 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani
Question: Salam Can we pray qadha namaz in tahajud namaz. Eg. Instead of 2x4 nnamaz shub, if can pray 4 rakat namaz zuhar and aasaar qadha
Answer: Wssalam o alykum, yes you can. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1359 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Namaz Ayaat Ka Tarika Shiacollectiveshara Kaise
Question: Assalaamoalekum, Mera sawaal ye hai ki kya fajr ki qaza mein sunnat bhi ada kar sakte hain. Ahar haan to kis waqt tak.
Answer: Wssalam o alykum,G Han kisi bhi wqt ada kr sakte hen mager qaza ki niyat se.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2 , sawaal # 57 , pg # 36 , ALLAH TAALA hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Sr Muje ik msg aya ha kya ap muje uska jwb dye de ge. Irshad e Nabvi SAW ha k jis shakhs ke namazain Qaza Hoi hon or taadad maloom na ho to wo ramzan k akhari Juma k din 4 Rakat nafal 1 salam k sath parhay, Har rakat main Surah Fatiha k baad Ayatal-Kursi 7 Baar, Surah Kauser 15 bar parhay. agar 700 saal ki namzain bi qaza hoi hon to is ka kafary k liye ye namaz kafi hai. Please ap muje se Hadees ka Mukamal maloomat dye skte ha agr to ye thk ha to phr ma agye logo tk forward kro. -- Please reply as soon as possible time.
Answer: Jis shakhs nai apni yomia namazain in k waqt main a parhi hon to zarori hai k in ki qaza baja laye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1356)Note: is hadees par bohat saray ishkal(doubts) hain jin mai sai aik ye hai k hadees mai ye hai k os namaz k parhnay sai qaza namazoo ka kaffara ada ho jata hai, is sai ye sabit hua k kaffara to ada ho gya magar phir bhi qaza to apni jigha rahi jis terah rozay mai hota hai k qaza k sath kaffara bhi hota hai agar koi kaffara ada kar dai to phir bhi osay qaza roza rahkna parta hai. is k alawa ye hadees aik zaeef shakhs k hawalay sai hai k wo mola Ali a.s. k pas aya aur kaha k meri bohat sari qaza namazain hai aur un ko ada karnay ki taqat nahi hai to mola Ali a.s. nai kaha k tum ye parh lo, is sai ye sabit hua k wo zaeef honay ki wajah sai namaz ada nahi kar sakta tha aur bhi bohat sari batain hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
sistani
Question: mrey sath subhh ki namz bhut ziada qza hoti subha oth ni skta hon plz me kia karoo
Answer: jis shaks ko yaqeen ho k agar me sogaya to namaaze subh k lie bedaar na ho saku gha to aisa shaks kise k zimme laga sakta hai k wo namaaz k lie jagaye ya timepiece se istefada kar sakta hai jo ise jagaye aur agar ye dono mumkin na ho to sone se ghuna gaar na hogha mager ye k urf(aam louqo) k nazdeek ise namaaz k silsele me suste aur ghaflat samja jaaye.( to phir ghuna gaar hogha) (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masla # 83 , pg # 75, eidition 5)
subhe ki namaaz ki qaza hone se bacne ka tariqa : rasool allah ne farmaaya : jo shaks surah khaf ki aakheri aayat sote waqt jis bhi waqt utne ki niyat se perhe gha jo jis waqt chahe gha bedaar ho jaaye ga.( nawaahe sauleheen,pg:332) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
sistani sb.
Question: mera sawal hai ki mere walid ka inteqal ho gaya hai mai unka bada ladka hu mujhe nahi pata ki ki mere walid ki kitni namaz kaza hai unko mai poora karna chata hu kya karo,kaise kar0,kya mai paisa de kar kisi se namaz phadwa sakta hu,please meri madad kare.
Answer: ap apne walid ki qaza namazain kud bhi phar sakte hain or ujrat per bhi pharwa sakte hain. Or jahan tak namaaz ki tadaad ki baat hai to ager kam tadaad ke mutabiq namaaz phar lain ya ujrat per pharwa dain to kafi hai, garche behtar hai ke itni tadaad main pharain ya pharwaain ke yaqeen hogaae ke un ke zimme koi namaaz nahi rehi. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1364 , 1371 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani
Question: Qaza namaz parhni ho mean zuhar or asr ki parhni ho to kia tarteeb ho gi phle zuhar ki farz or phr zuhar ki kaza phr asr or phr asr ki qaza ya zuhar frz or asr frz parh k zuhar ki qaza r phr asr ki qaza parh sakty hain?
Answer: Ager zuhar o asar ki qaza namaazain 1 din ki pherhna maqsood ho jese zuhar o asar ya maghrib o isha(jumme ke din ki) indono ke dermiyaan tarteeb lazim hai, or ager in ko yoomiya farz namazoo ke saath pharna ho to ager farz namaaz ki fazilat ka waqt khatam na ho raha ho to behtar hai k pehle qaza phare phir farz. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1361 , 1365 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Khaun se halat me namaze kaja padha jata hai
Answer: jis shaks ki namaz qaza hojae tou zarori hai k uski qaza parhnay mai kotahi na karay al-batta uska foran parhna wajib nahi hai. (Tauzeh-ul-masail,ayatullah Sistani d.b.,33th edition,mslah#1358)
Seestani
Question: waledain ki qaza namaz ada karwanay k lye kisi sy namaz parhwa sakty hain?agar qzaz namaz na ada hogi tou kia waledain per sy qaza namaz ka azab nahi hat sakta?please jaldi reply kardain...please
Answer: G han bilkul jaiz hai aop apne apne ki qaza namazen kisi se parhwa sakte hen.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1, Maslah # 752 , eidition # 1st).
Note Azab se der guzar karna ya na karna ye Allah Taala ka muaamla hai.(Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: A.O.A. sir i want to ask main jinko chahti hon kia un k hisay ki namaz ada kar skti hon? wo bht masrofiyat ki wjah se 5 wkt ki adaegi nae kar paatay. please mjhay jawab dain jaldi plz
Answer: Gee nahi ye jaiz nahi hai apki us ki taraf se namaz ki adaigi se us pr se namaz ki zimedari khatam nahi hogi, chahe kitni hi masrufiat ho. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1368 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaye)
Question: Agar meri koi nmz reh jay to main usy kasy perh skta hun
Answer: Jo namaz waqt per nah perhi jay tu os namaz ko qaza ki niyat se perha hoga. Or namaz ko jaan bojh ker waqt per nah perhna gunah hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #1356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
muslim
Question: swal hy k agr kisi ko apni qaza namazon ki tadad ka ilm na ho to wo four rkt nmaz nfl ada kry,surt fatiha k bad seven bar aeytul kursi phir is k bad fifteen time surt kousr prhen tp seven hundred yearz ki qza nmazon ka kfara ho jaye ga. kya ye true h agr true hy to book ka hwala dy den plz..
Answer: Jis shakhs nai apni yomia namazain in k waqt main a parhi hon to zarori hai k in ki qaza baja laye.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1356)
Misaal k tour per agar kise ki chnd subah ki namaze ya chnd zohar ki namaze qaza hogai ho aur wo in ki tadad na janta ho ya bhool gaya ho maslan ya na janta ho k wo 3,4 ya 5 to agar wo chhote adad k hisab se perh le to kafi hai.lekin behter ya hai k itni namaze perhe k ise yaqeen ho jaay k sari qaza namaze perh le hai.maslan agar wo bhool ghya ho k is ki kitni namaze qaza hoye thi or use yaqeen ho k 10 se ziyada na thi to ehtiyatan subah ki 10 namaze perhe.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1364 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).Albatta jis namaz ka apne zikr kiya aysi koi namaz sabit nahi hai k jisko ada krne se 700 saal qaza shuda namazen ada hojaen. ( Ref: Official site of Ayat_ul_Sistani www.sistani.org )
syed
Question: kia asar aur magrid ki namaz ke darmian hum nawafil aur kaza namaz nhi parh saktay quran aur sunat ki roshni main please jawab dain thanks
Answer: Jis shakhs ki namaz qaza hojaye to zaruri hai k uski qaza parhne men kotahi na kre albatta uska foran parhna wajib nahi hai.(Qaza namaaz kisi bhi waqt par parh saktay hai).(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #1358).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
ayatullah sistani
Namaz Ayaat Ka Tarika Shiacollectiveshara Ke
Question: assalam o alikum mera question yeh hai k ek majlis mai molana sahab ne bataya tha ke jis shaks per uski qaza namazein hun woh na amaal kr sakta hai na mustahib namazein parh sakta hai aur na namaz e shab ada kr sakte hai..please es ke barey mai kch bataye k kia yeh baat sahe hai?? please answer my question
Answer: Agar aap per koi wajib roze ki qaza hai to jab tak aap us roze ki qaza nahi kerte tab tak to ap mustahab roza nahi rakh sakte albatta agar aap k zimmay wajib namazo ki qaza hoto is se koe faraq nahi parhta aap mustahab namazen parh sakte hen or namaze e shab bhi mustahab namazon men se hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhaj-ul-saliheen,msla#513). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Mohtram AllamaSistani r.a
Question: Asalam o alaikm, Mera sawal hy ke mein ibadat krna chahti hon, qaza namazein or roze ada krna chahti hon or esi ibadat krna chahti hon jis se Allah pak khosh hon. Please mujhy kuch esa bta dein ke mein ibadat kr sakon because mein wajib mein hi thak jati hon or sobah neend ki wjah se na fajr ada kr pati na tahajud please please meri madad frmaen mein sobha ko namaz ke liyen kese othon me preshan hon boht. Ek or masla ye he ke molana sahab, mera qad(height) boht choti hy or meri age 19 years , is height ki reason se na mein taleem me age bar paa rahi hon na sahi se prda kr paa rahi hon jahan jati hon log mazak orate hein or batein kehte hein meny koshish ki warzish ki pr mujh se na hoi or kamzoi hogai... please ap se meri gozarish hy mujhy height ke liyen doa ya dawa bta di jye Ek baat mein koi dua ka likhna, wala amal nahin kr sakti. Allah ap ko jaza-e- kher de or ap ka akhir ba iman kare amen summa amen khudara meri madad jald farmaye...
Answer: Jis shakhs ki namaz qaza hojaye to zaruri hai k uski qaza parhne men kotahi na kre albatta uska foran parhna wajib nahi hai
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail 31st Edition, page # 216, Masla# 1358)
Agr kisi shakhs kin namazen qaza ho gai hon or wo ye na janta ho ya bhool gaya ho k un qaza namazon ki tadad kiya hai to agr wo chhote adad k hisab se parh le to kafi hai lekin behtr ye hai kn itni namazen parhe k use yaqeen hojaye k saari qaza namazen parhj li hen, misal agr wo bhool jaye k uski subah ki kitni namazen qaza hui thin or use yaqeen ho k 10 se ziyada na thin to ehtiyatn subah ki 10 namazen parhe.
Or yehi hukm rozon k bar men bhi hai.(1668)
(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail 31st Edition, page # 217, Masla# 1364)
Neend jis qadr is insan ki tabyat men hoti hai us qadr hi aati hia albatta bazz afrad susti ki bin pr ziyada sote hen or samjhte hen k unhen neend ziyada aati hai, namaz-e-fajr k liye uthne ka behtar tareeka rat ko jald sona hai jitna jald soengi utna sawer taza zehn se uthengi, is k liye ap kuch zaraye or bhi istamal kr sakti hen jese apne cell_phone men alaram set krlen.
Or ibaadat men rohaniyat peda karne ke liye har din men (ALLAHO) ka tawajjo ke sath 1000 baar wird kejye.
(Ref : Naway e salaheen pg # 2763)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Darj zail ayaat e majeeda ko subah ki namaz k baad 11 martaba pani par dam kar k pi lain to qad lamba, baal ghanay aur nazar e bd sai mehfooz rahain gay. i: Surah e furqan surah # 25,ayat # 45 ka shru ka kuch hissa, ( ﺍﻠﻡﺘﺮﺍﻠﻰﺮﺑﻚﻜﻴﻑﻤﺪﱠﺍﻠﻆﻞﱠ ) ii: surah hajj surah # 22, ayat # 5 ka kuch hissa (ﻔﺎﺬﺍﺍﻨﺰﻠﻨﺎ…………ﻭﺭﺑﺖ), iii:surah e fateh surah # 48, ayat # 29 ka kuch hissa (ﺴﻮﻘﻪ ……… ﻜﺰﺭﻉﺍﺨﺭﺝ), iv:surah e qalam surah 68 , ayat # 50 and 51 (ﻭﺍﻦﻴﻜﺎﺪﺍﻟﺬﻴﻦ………ﺬﻜﺭﻠﻠﻌﻟﻤﻴﻦ) (Ref : Naway e Salaheen pg # 327)
wazifay par bhi amal karain jo is k alawa qad ko barhanay k lie homoeopathic k drops aatay hain jin k istemal sai bhi faida ho ga. aap apnay qareebi homoeopathic store sai kent 35 khareed kar din mai 3 time aik ghont pani mai 10 drops daal kar istemal karain. Drops k nam (kent 35) hai.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Namaz Ayaat Ka Tarika Shiacollectiveshara Diya
Question: Jis Shaks Ki Namazain Qaza Hoi Hon Aur Tadaad Maloom Na Ho, Tou Wo kya kare ???
Answer: Agar koi shaks apni qaza namazo ki tadaad nah janta ho ya bhool gaya ho maslan ye na janta ho k qaza namazain 3 thi ya 4 ya 5 tou chotay adad k hisab sy(yani 3 namazain) parh le tou kafi hai laikin behtr hai k itni namazain parhay k usay yaqeen hojaey k us nay sari qaza namzain parh li hain. (Ref:Ayat#ullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1364). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agr nmaz qza ho jaye to kb ada krain usi din ya aglay dn?
Answer: is shaks ki qaza namaz ho jaay zaroori hai k is ki qaza perhne me kotahi na karain albetta is ka foran perhna wajib nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1358 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
-
Question: Gunnaho se bachne ka tarika? Agr din me ek wakt ki namaz qaza hojae tou usey hum bad me kese parhein.
Answer: 1)Gunahon sai bachnay k bohat sai tariqay hain jin mai sai chand yai hain k 1)mout ki yaad ko dil main bassa’en 4) ye tassawur karain k khuda aap ko har waqt dekh reha hay. 5)khaas tor par namaz e shab ki pabandi karain. 6)Pakiza aur halal ghiza kahain…. etc (ref : kitab tark e ghunahan k 40 tareeqe).
2)Jis shakhs nai apni yomia namazain in k waqt main a parhi hon to zarori hai k in ki qaza baja laye. Is ka tareeq wohi ho ga jo aam namaz parhnay ka hota hai faraqt niyat kartay waqt qaza ki niyat ki jae gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1356)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
agha sistani
Question: mera ek doubt hai..k agar koi namaz e shab ki jagah apne marhoom baap ki qaza namazein parhay tou kia utnahi sawab hy jitna namaz e shab ka hy??aur kia is ka sawab baap ko bhi pohonch sakta hai ? plz reply
Answer: Agar baap ne apni khuch namazain nah perhi hoon or on namazo qaza perhne par qadir ho to agar os ne khuda k hokum ki na-fermani kertay hoay on ko na chorha ho to ehtiyaat e wajib ki bina par os k baray baitay par wajib hay k baap k marnay k baad os ki qaza namazain perhay ya kisi ko ujrat day ker perhwaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1371)Note : Marhoom baap ki qaza namazain alag wajib hai aur namaz e shab parhna alag mustahab hai.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Sunni
Question: Asslaam o Alaikum!!!! Sir....Kaza Namaz Kaisy Ada Ki Jati Hai??? I Mean Jis Tarha Waqat Per Parhty Hain Bilkul Usi Tarha Hai Ya Sirf Farz Hi Ada Kiye Jaty Hain Kaza Namaz K........Plaese Zara Tafseel Se Bta Diye Jay Ga..........
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Jo namazain Rozana nahi parhi hai in ki Qaza karna wajib hai .(qaza namaz parhtay waqt niyat qaza namaz ki ki jaay gi magar tareeqa wahi ho ga jo ada namaz ka hota hai.) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1356 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).